Saturday, December 08, 2018

Nazeema's Shayri
















NAZEEM KI SHAAYRI:


6.12.2018


Chahe doorho ya pas ho yadonki roshni yunhi bikherte rahna
dosty ki diye yunhi jalaye rakhna

Mayoos na ho aye zindagi
Bhoole nahi the woh ahsas wo jazba kabhi

Kuch tanha woh the kuch tanha hum the
Fasle the kuch zyada magar

Kuch nazdeekiyan  darmiyan   ab bhi hain
 Kuch shikwe kuch shikayate
Kuch kasme kuch vade
Kuch yadein
Sulagte chingariyon me
Ab bhi hain.





7.12.2018

Khote hein agar jaan tho khoo lene de.
Ae   dost  jo ho jaaye woh ho lene de.
Tujh se jo chootte sabre kar lengue  kabhi
Is waqt tho jee bhar ke ro lene de.










“Mehafil – e – shayri” by Nazeem


Rehte hein tere dil mein
Aur koi mera makam nahin
Teri dhadkan hi naam mera
Tujhse juda meri pehchan nahin
Na karna khud se juda  kabhi
Kehne ko apna mera saaya bhi nahin.




9.12.2018


Toot kar bikhar jaane ka naam tho nahin Mohabbat
Tinka Tinka Jodkar Dil ko behalane ka Naam hai Mohabbat

Haar kar Palat jaane ka naam tho nahin mohabbat
Kismat har baar aajmaane ka naam hai Mohabbat

Ek aas hai, ek pyaas hai

Ek pyara sa ehsaas hai mohabbat

Ek sunahera khwab hai mohabbat
Kurban hokar bhi zinda rehne ka naam hai mohabbat



14.12.2018



Izhare muhabbat me duniya bhula baithe

Ayina dekha to khudko

Tum samajh bathe

Batein ki thi khudse

Awaz tumhari samajh baithe








15.12.2018



Band rakhe zuban to bewafayee hai

Khul gayi zuban to behayayi hai

Karoo to Kya karu

Haale dil kaise bayan karu

Is kashmakash me funss gaya hai dil 

Izhare muhabbat kis surate hal karu




Aisa agar hota to kitna acha hota

Jigar se jigar ka raah hota

Hathon me tere mera hath hota

Tanhayee me sada Tera sath hota

Khamoshi meri zuban hoty

Haale dil unko pata hota

Aisa agar hota to kitna acha hota



 Aao pas baithe sagar ke kinare hum

Bas mai aur tum ye lahrein ye sama

Aur ye tanhayee ho

Naa duniyaki parwa na apnonka khauf

Dhalty sham ho bas mai aur tum ye tanhayee ho




17.12.2018

Sahi mein samajhne ki Khoshishein jab aati hai tab
Mohabbat bejaan ho jaati hai.

Gagan mein badal ban udke chale aaun spain
Tujhse lipatke gale door karun gile shikhwe 
Dooriyan dilon ki door kar dun 
Yaadon ko phir se jagaun 
Fir se woh  bachpan ke din le aaun 
Bahut bahut kuch dekhungi aise kuch khwab 


Phir tumhari yaad aayi eh sanam
Hum na bhulengue tumhe Allah Kasam

Yaad kiya dil ne kahan ho tum
Jhoomthy bahar hai kahan ho tum



18.12.2018


Kahan so paungi neend jo nahi ankhon meinKhule ankh dikhe khwab haseenzaroorat hi kya fir soneki


Samajhneki koshishein jab aty haiMohabbat tab bejan hojaty haiBin sune bin kaheJo palbhar me hojayeWoh mohabbatJeeneka sahara ban jaty haiBhoole se bhi agar dikh jaye kabhi



Ajnabee banke moonh na mod lenaChand lamhe jo sath guzare chand yadeinJeeneka sabab bana baithe hainAisa bhi nahi ki bhula sakte hain humeDil ke kisi kone me chupa hoga chehra meraThodisi deedare koshishSamne ayega tasweer numa.




19.12.2018

Woh zamana kuch aur tha Ye zamana kuch aur hai Dilonme hulchul thy ankhonme tare the Befikir chanchal jawani thy Bepanah dil me muhabbat thy Duniyase bekhabar Sab begane the Beparwa adayein thy Aisi deewangi thy Aitbare dosty thy Bedhadak hasty thy Bejijhak roty thy Woh zamana hi kuch aur tha Ye zamana kuch aur hai


 bebuniyad usoolon ko
Ekhtiyar karnese kya faida

Reth ki lakeeronki tarha


Dhah jayega hosla
Paak ho gar irada apna
Manzil paa hi lega
Chahe safar ho mushkilon se bhara
Kantonse ghira gumse bhara



Dhadakte dil ki tamanna woh mera pyar ho tum mujhe karar nahi jabse bekrar ho tum


Ye kaun dastak diya ake Ye kaun dastak diya ake Sadiyonse band khidkiyan khul gayi Bejan ghar me rounak si agayi Murjhaye gulab firse khil uthe Sukhe pankhudiyonme firse surkhi chaa gayi Ji karta hai choolu aj asmaku Choomlu sitaronko Jhoomlu ghungru bandh Nachu morniki chal Sab kuch laage naya naya Nai zindagi nai bandagi Naya sama naya hai aashiyana.





21.12.2018



Is kadar bas gayi ho nas nas mein tum meri
Aankh khuli tho dhoodhein tujheeko nigahein meri
Kabhi yunhi apne chehre ki jhalak dikha jaana
Tassalli tho mujhe ho jaaye ki tu aas paas kahin hai meri.


Aasman ko choone ki chahath rakhta hoon
Badalon se lipat kar hasna chahtha hoon
Chahtha hoon daaman thame hawa ki
Sair kar aaun chand sitaronki
Chahthon ki ek lambhi qatar hai ay khuda
Tu hi bata kahan se shuru karu kahan karu khatham.



Zindagi tu tehar ja palbhar ke liye Sametlun mai sari khushiyan mere nasseb ki Na jane kal ye pal rahe na rahe Yeh khushiyan rahe na rahe Zindagi tu tehar ja palbhar ke liye


24.12.2018



 Fursatse ajmana mere pyarko
Doobke gaherayee napna
Thaamkar hath tere sath sath rahunga mai
Behoshika alam na chaa jaye

Is baat ka takaaza karunga mai



 Meri chahat meri rahat guroor ho tum meri
Khudjo mitakar bhi hifajat karunga
Iman o muhabbat ho tum meri

 Ye chandni rat  ye bahty dhara
Ye nila aasman ye gahri khamoshi

Tumhary yadon me khoyi 
Yunhi baithy rahoon rat bhar
Khule ankh dekhu khwab sunahre
Moond na jaye palkein meri 
Ojhal na hojaye tum door kahin
Hawake anchal se aye mahek phoolonki
Bandke sehra chaldi kahin

Mai aur tum ye yadein meri









28.12.2018


गुज़र जाते हैं खूबसूरत लम्हें ,*
*यूं ही मुसाफिरों की तरह .*
*यादें वहीं खडी रह जाती हैं ,*
*रूके रास्तों की तरह .*
एक *"उम्र"* के बाद *"उस उम्र"* की बातें
       *"उम्र भर"* याद आती हैं ,
पर *"वह उम्र"* फिर *"उम्र भर"* नहीं आती... (Unknown name)


Likhnewale ki hath chooom loo agar samne hota to
Itna acha alfaz itni khoobsurat ehsas
Beetein lamhe to beet jati hai 
Chod jati hai apni khusboo
Un gulabonki tarah
Jo sookhne ke bad bhi
Apne hone ki ahsaas dilati hai umr sari



29.12.2918





30.12.2018


31.12.2018


Sal to ata hai isliye jata bhi hai badalta bhi hai
Tum to dil me base ho
Jab tak hain hum
Tum bhi sath honge mere
Khokar pa liya hai tumhe
Bheedse khojkar nikala hai tumhe
Juda honeki bat na karna
Dosty rahein sada yunhi
Bas yehi dua khudase karna



2.1.2019







3.1.2019









4.1.2019







6.01.2019







7.1.2019









8.1.2019






9.1.2019









10.1.2019











11.1.2019












12.1.2019








13.1.2019






15.1.2019









17.1.2019





Translation in Hindi:


Ankhon ki hoty hai khata
Aur saza dilko milty hai
Poocho na yaro pal me hi
Kaise zindagi badalti hai. 




18.1.2019